Part Time Job For Students
Hello Dosto, So dosto aaj kal sabhi students chahte hai ki
hum ek part time job kare. Dosto me aapko bta du ki ye bahut achi baat ki aap
ek part time job kare yadi aap college me padhne wale students hai to me aapko
suggest karunga ki aap part time job kare aapka college ka kharcha bhi nikal
jayega or aapki study bhi chalti rahegi. Jab aap part time job karna start kar
doge to aap study ke baad part ko full time kar sakte ho. So, dosto is article
me aapko batane wala hun ki ek college me padhne wala student kaun kaun se part
time job kar sakta hai. So dosto is article ko last tak padhna.
So Dosto, ek Student bahut sare part time job kar sakta hai :-
1. Tuition
:- yadi aap kisi subject
like, Account, History, Phiysics, Business, kisi subject me perfect ho to aap
apne junior ko tuition padha sakte hai yah bahut hi achi part time job hai sath
hi sath aapki repudation bhi increase ho jayegi. Isse kya hoga ki aapka
subject bhi perfect banega or sath hi sath aap auro ko bhi perfect bna rahe
hai.
2. Blogging :- Dosto ye bahut hi acha platform
hai aapka part time job ke liye yadi aap karna chahte hai part time job or aap
mere jaise ek student hai to aapko ye bahut hi acha platform hai me aapko
suggest karunga ki aap bhi blogging kare. Isme jo aapke dimag me koi article
hota hai use type karna hai or post kar dena hai. Or aap soch rahe honge ki
isse paise kaise milenge to dosto me aapko bta du ki isme ek Account banana
padta hai google Adsense ka use aapko advertisement milti hai un advertisement
ko apne blog par lga dena hai or phir google adsense aapke Account me paise
payout kar deta hai.
3. Affiliate Marketing :- Yadi aapka dimag online
technology me jayada chalta hai or Aap yadi Facebook, Whatsapp, Twitter, ya
other koi Social Media ka bahut jayada use karte hai, website me ager aap
jayadater ghumte rahte hai to aapko ye affiliate marketing bahut acha platform
hai part time job ke liye. Yadi aapko pta nahi hai ki affiliate marketing kya
hota hai to me aapko bta du aap amazon me product dekhte hai 100 rupees ka. To aap
isme ek affiliate programe ke through
judte hai or jo 100 rupees ka product tha us product ka aapko ek link diya jata
hai. Us link ko aapko whatsapp, facebook, twitter, instagram me aapko shares
karna hai aur yadi us link pe jake koi vo product khridta hai to amazon se
aapko 5% ya 10% milta hai.
4. YouTube :- Dosto ye bahut hi acha platform
hai ek part time job ke liye, isme aapko videos banana hoti hai or aapko
YouTube me upload kar deni hoti hai isme aapko kuch time baad aapko money milna
start ho jata hai. Isme aap ek khud ka channel bnate hai aap kisi bhi prakar ka
channel bna sakte ho like, tech ka bna sakte ho, study ka bna sakte ho,
fitness, gym, or bahut kuch jo aapko acha lage aap isme ek channel bna le or us
per videos upload karte rahna hai kuch time baad aapka channel monetization ho
jayega or aapko money milna start ho jayega.
5. Data Entry :- Dosto Data entry ki job bhi
bahut acha platform hai part time job ke liye like aap jahan pe rahte ho aap
vahan pe hi data entry job kar sakte ho, aaj kal to office me work sabhi karte
hai bahut jayada hota hai to vo distribute kar dete hai aap bhi vahan se kaam
lo or aap ghar baithe use kar sakte ho me Himachal Pradesh me rahta hun to me
bhi data entry job karta hun.
Yadi aap kuch bada data entry job karna chahte hai to data
entry job do prakar ki hoti hai ek offline and dusri Online to aap office work
offline karte the yadi aapko online karne hai to aapko naukari.com se security
dekar aap kaam le sakte ho or per month aapko paise milta rahenga kai company
froud hoti hai to aapko ye bhi dhyan rakhna hai aapko her kahin paise invest
nahi karne hai. Me aapko suggest karunga naukari.com vahan se aap kaam lekar
aap per month paise kama sakte ho.
So dosto ye the Part time job jo ek Student apni study ke
sath kar sakta hai yadi aapko ye article acha laga hoga to comment karna na
bhoole or yadi aapko koi pareshani aaye in sabhi part time job karne me to aap
merese contact kar sakte hai. Me phir bta raha hun yadi aapko ye article acha
laga to Comment jarur kare.
THANK YOU
2 Comments
Nice bro
ReplyDeleteThank You Dear Brother
Delete