Welcome
Friends, Aaj ke samay me sabhi ne blog create kare hue hai, but jahan par vo
post ko likhte hai or post ko edit karte hai, un tools ke bare me bahut kam
jante hai. So, dosto is article me aapko vahi batane wala hun ki kaise aap ek (Blog
Post Editing) post ko achi tarah se likh sakte hai, or use edit kar sakte hai.
Blog Post Editing (Tools) :-
1 Compose – Compose
ka matlab hota hai, likhna or yahan pe ham likhte hai. ye ek blank page hota
hai or is page me ham article likhte hai.
2 HTML – Yadi
aapko koi bhi html file apne blog me post karni hai to aap use file ki coding
HTML tool ko open karke vahan paste kar de. Aapki html file blog me show ho
jayegi.
3 Undo – Undo
means, pichla back, jaise maine hye likha to yadi me Undo button me click karu
to jaise page pahle tha vaise hoga undo means. Back.
4 Redu – Undo
button me click kiya to hye likha hua nahi aaya vo mit gya but ager hme dobara
se vo hye vapis lana hai to ham redu ke button ko press karke hye ko vapis
karke la sakte hai. Redu means koi kati hue cheej dobara se vapis lana.
5 Font – Font
bahut sare hote hai, aap apne blog me dekh sakte ho, to aapko jo bhi font acha
lage aap use choose kar sakte ho, or use apne blog post me add kar sakte ho.
6 Font Size – Aapne
font choose kiya tha but ab ager aapko uska size kam laga ya jyada laga to aap
is tool se us font ko chota ya bda kar sakte ho.
7. Format - Format
me aapko bataya gya hai ki aapko ager heading deni hai to aap vahan se de sakte
ho. Kon si heading deni hai, kon se subheading deni hai. Aap format tool se
choose kar sakte ho.
8 B/I/U - B
means Bold. Isse word ka font mota ho jata hai. Or I
means Italic. Isse word thoda tedha ho jata hai. Or U Means Underline.
U se word me underline lag jati hai.
9 Strikethrough - Koi bhi word ho us word me bich me ek line lag jati hai. Ager aap
10 Text Color
- Is tools ke dwara ham apne word ko, line ko, Paragraph ko
Color de sakte hai.
11 Text
Background Color - Is tools ke through ham apne paragraph or word, line ko
Background color de sakte hai.
12 Link - Is
tools ke through ham kisi bhi website ka link Apne website me dal sakte hai. Or
ab yadi ham apne website me us link ke uper click karte hai to ham us website
me pahunch jate hai Jis website ke link hamne dala hai.
13 Insert
Image - Is tool ke dwara ham apne article me images daal sakte hai.
Is tools ke through ham apni post me kisi ka bhi image daal sakte hai.
14 Insert
Video - Is tools ke through ham apne post me videos insert kar sakte
hai. Is tools ke dwara ham apne post me youtube or appke gallary me koi bhi
video ho is tools ki madad se post me video upload kar sakte hai.
15 Insert
Special Character - Is tools ki madad se ham kisi bhi post me special character
insert kar sakte hai.
16 - Breaker - Page
breaker tab kaam aata hai jab aapne koi easy theme li ho jo puri post first
page me show karti ho. Tab is tools ka upyog karke aap us post ko apne first
page me jitna dikhana chahte ho aap breaker tools ka use kar sakte ho.
Breaker tools page ko aadha kaat leta
hai isse page breaker ke name se bhi jana jata hai .
17 Alignment - Is tool
ka istemal tab kiya jata hai jab aap koi word ya line ya photo left, right
center me le jana chahte ho ya rakhna chahte ho.
Alignment ke madad se aap article
left, right, center kahin se bhi likh sakte hai.
18. Numbered List - Is tools ki madad tab padti hai jab aap heading dete hai to aapko list me ager likhna ho tab numbered list ka kaam hota hai.
19 Bullet
List - Numbered list or Bullet list ek hi jaise hai bus firk sirf
itna hai ki Numbered list me Number show honge or bullet list me bullet show
honge.
20 Quote - Is
tools ke through ham apni jagah se 10-15 space door chale jate hai.
21 Remove
Formation - Is tools ke dwara aapne jo bhi apne post me formating ki
hogi use aap ek sath remove kar sakte hai.
22 - Check
Spelling - Is post ke dwara aapke post me koi bhi spelling mistake ho
to isko press karke aap pata lga sakte hai. Aapko apna page select karna hota
hai or phir spelling mistake tools me click karna hota hai. Aapko pata lag
jayega ki kitni mistake aapke page ma hai.
23 अ - Is tool
ke dwara aap hindi me write kar sakte ho. Aap kruti dev me type nahi kar sakte
ho. Aap is hindi roman font me hindi typing kar sakte ho.
24
Left-to-Right - Is tool ke dwara aap apne post ko left se right side ko post
likh sakte hai.
25
Right-to-left - Is tool ke dwara aap apne post ko right se left side ko post likh
sakte hai.
0 Comments