Computer Me Typing Speed Kaise Badhaye
Dosto aap sabhi to Computer me kaam
karte hi honge, Or ager aap computer course kar rahe hai to aap bahut preshan
ho rahe honge ki hamari typing speed nahi badh rahi hai, Ham kaise apne typing
speed badha sakte hai. So, Friends, ab aapko preshan hone ki jarurat nahi hai
is article me aapko batane wala hun ki kaise aap typing speed badha sakte hai.
Yadi aap ek blogger hai to aapko is article se bahut hi jayada help milegi.
1.. Typing Karte Samay Baithna :- Friends, Bahut saare yahi gulti karte hai or phir unki
typing speed nahi badhti hai. Hame typing karte samay kaise baithna chahiye, To
me aapko bta du typing karte baar ek dum sidhe baithna chahiye. Jaise ham
baithe honge vaise hi hamare hath hone chahiye. Hame sidhe baithna chahiye. or
hath bhi sidhe rakhne chahiye. Ise kya hota hai ki hamara dhyan ek dum computer
screen par hota hai or hath keyboard ko pura cover kar kete hai.
2.. Gullat Trike se Type na Kare :- Ye gullati bahut saare log karte hai
vo kya karte hai ki apne finger ko har kahin rakh dete hai or type karne lag
jate hai. Ye ek dum gullat trika hai isse aapki speed nahi badh sakti hai.
Aapko apni left side wali hand ki ungli A,S,D,F me rakhni hai or right
hand ki ungli J,K,L,; me rakhni hai or jo aapka anguntha hai
use aapko space me rakhna hai. Ye ek dum sahi trika hai isse aap typing speed
bade hi aasani se badha sakte ho. So, Sahi trika apnaye gullat trika na apnaye.
3.. Computer Shortcut Keyboard :- Aapko computer ki shortcut key ka
bhi dhyan me rakhna hoga. Aapko computer ki shortcut key jitni jyada aati ho
utna hi acha aapke liye hoga or aap ise ek behter typing speed badha sakte ho.
yadi aapko computer ki shortcut key nahi aati ho to aap yahan click karke
computer ke sari shortcut key aap yahan se sikh sakte ho. All Shortcut Keys are Available (Window, Basic, MS Word, MS Excel).
4.. Typing Practice :- Aksar maine dekha hai ki log kya karte hai ki 2,4 din me
lagatar typing karte hai or phir typing ko chod dete hai or baad me bolte hai
ki hamari typing badh hi nahi rahi hai. To aapko kya lagta hai easy me typing
badh sakti hai. Yr easy me typing kaise badh sakte hai ager aap typing kro hi
na. To Ager aapko typing speed badhani hai to aapko daily practice karni
chahiye maan liye ki aapne 1 month me lagatar typing ki or phir aapke kuch kaam
aa gya or aapne 2,4 din typing nahi ki to koi baat nahi aapki typing ease nahi
ghategi. Uske baad aapko phir typing karte rahna chahiye. Me aapko bta du ki
meri typing aaj kal minimum 100WPM hai or merrko typing karte karte 1 Saal ho
gya. To is prakar aapko bhi typing practice karte rahna chahiye, Typing ko
kabhi chodo mat na gap do isse kya hota hai ki aapko jo fingers hai unhe aadat
ho jati hai or vo ek dum usi key me jati hai jahan aap le jana chahte ho. To
isliye aapko daily practice karne ki jarurat hai.
5.. Software Use Karke Speed Badhaye :- Ab to easy bahut saare software ya
maan lo typing tutor hai. Jisse typing karke aapko beginner se expert bna dete
hai. Un software ka use karke aap typing badha skate hai. Software name like
as, Rapid
typing 5.2, Rapid typing 4.6.6,
Typing Master, In sabhi software ka use karke aap ek behtar typing kar
skate ho. Ye software aapko typing karna sikhate hai. Kis prakar karna hai or
fingers kahan kahan rakhni hai sab kuch btate hai. To aap inka use kar sakte
hai.
6..
Online Typing Test :- Ab to easy bahut saari typing websites hai jahan pe aap
online typing kar sakte ho. Like as, 10
Fast Fingers, Online typing speed,
Typing
Certification Test.
In sabhi website me jaker aap typing kar sakte hai. Ye easy bahut saari online
typing website hai jahan se aap online typing kar sakte hai. Or aap apne typing
ko expert typing bna sakte hai.
So Friends, Ye the kuch typing speed
badhane ke tips, I Hope aapko hamari ye article acha laga hoga. Aapko ye
article kaise laga hame comment box me jarur bataye or Ager koi problem ho to
hame comment box me jarur bataye. Ager aap in tips ka use karke typing karte
hai to Me aapko guarantee deta hun aapko typing bhi mere jaise 100 tak pahunch
jayegi.
3 Comments
thanks bro...
ReplyDelete:)
ReplyDeleteThis comment has been removed by the author.
ReplyDelete