2018 Me Blog Ki Traffic Kaise Badhaye - Top 10 Important Tips

2018 Me Blog Ki Traffic Kaise Badhaye

Hello friends, Aap sabhi ne blog create kiya hoga or aapke blog me koi visit nahi kar rahe hai, ya phir bahut kam visit kar rahe hai, Or aap preshan hai to aapko preshan hone ki jarurat nahi hai, To aaj me aapko easay 10 tips lekar aaya hun jisse aap apne blog me traffic la sakte ho. 
2018 Me Blog Ki Traffic Kaise Badhaye - Top 10 Important Tips


1. Use High Ranking Keyboard :- Aapko High Ranking Keyboard choose karna hai. To iske liye aap ek free tool ka upyog kar sakte hai. Uska name hai Google Planner Tool. Is tool ka use karke aap high ranking wala keyboard jo hai uske uper aap apna article likhe jisse aapki website me bahut jayada traffic aayega or aapka article google me aana shru ho jayega.

2. Write New Topics :- Aapko Hamesha easy topic par article likhna hoga jo ki google me nahi hoga, Or ager hoga to bahut kam ho. Jisse aapko profit ye hoga ki aapka article google me front page me aayega or traffic bhi bahut jayada aayega.

3. Write About Social Media :- Aapne aksar dekha hoga ke sabse jayada log Facebook, Twitter, LinkedIn etc. Social Media me Online hote hai. To aapko vahan bhi apne article ka link dena hoga. Ise kya hoga ki. Jo koi bhi aapke article ke link dekhange to vo vahan se aapke website me  aa jayenge. Jitne bhi social media hai jahan aapke Account hai vahan pe aap apne website ke link dalte rahenge. 99.9% me aapko believe dilata hun ki sabse jyada traffic aapko social media se aata hai. Because vahan pe saare Online hote hai.

4. Create A Facebook Page/Group :- Aapko apne website ka facebook Page or Group banana hai or usme apne friends, or apne friends, ko kahe ki mere group me apne friends, ko add kare. To easy me aapke bahut saare facebook friends, group or page me uplabdh ho jayenge. Vahan pe aap daily ek ya do ya teen post dalte rahna jisse aapke page or group me upasthit ko inspiration milegi ki ye kya kar rahe hai vahan se aapke website me bahut jyada traffic aata hai.


5. Guest Posting :- Jo bade bade Blogger hai unki website me visit karna hai or vahan pe aapko ek menu mil jata hai Guest Posting ka to aapko  vahan pe guest post likhni hai or us blogger ke admin ko submit kar deni hai. Ye bahut hi acha tarika hai apne website me visit lane ka. To friends, aap bade bade blogger ki website me guest post kare. Bade Blogger like, ShoutMeLoud etc. Joki Indian ke Top 10 Me aati hai. Ise aapko bahut jyada profit hota hai. 

6. Add Image / Clearty :- Aap jab apne post likhte hai. Aapko post miminum 1,000 word ki post likhni hoti hai. or Aapko post ke bich me kuch 4,5 images bhi dalni chahiye. Use hota kya hai ki post bhi achi lagti hai. Ager image nahi dali to aapko post koi nahi padhega because us trike ka post kon padhega vo to ek prakar ka paragraph ban jayega. To aapko easa nahi karna hai aapko achi post likhni hai or uske bich me kuch images bhi daal dene hai. Images aap best dalo. Like as, Me aapko suggest karunga .png Aapko .jpg images kam dalni hai ya dalni hi nahi hai aap .png images dale jisse ki aapko post bahut achi bhi lagegi or traffic bhi acha aayega. Log bhi sochenge ki yrr ise follow karte hai. Ye Bahut achi post likhta hai.

7. Make Excellent Article :- Aapko easa article likhna hoga. Ki logo ko bhi aapke article padhne ka shock lage or ve icha rakhe aapki post release hone ki. To aap ek easa post likhe jisme log jyada interest rakhte hai. Or log aapko post release hone ka wait kare. Isse log jyada se jyada jaldi aapke fan ho jayenge.

8. Design Mobile Friendly :- Aapki jo website hai use jyada se jyada mobile friendly banaye use hoga kya ki kisi ke paas desktop nahi hota hai to vo apne phone se hi article padhte hai. To aapko apni website mobile friendly banani hai. Jo mobile me achi tarah se fit ho or logo ko bhi lage ki yr bahut achi website banai hai. Ager aapki website mobile friendly hai to google aapko Promite karta hai.


9. Use Share Button :- Aapko apne website par Share button jarur lagaye, Use hota kya hai ki jab aapke website me koi aata hai or usko vo article acha lagata hai or vo apne friends, ko us article ko share karna chahta hai to use koi problem na aaye vo bade hi aasani se share kar sake isliye aapko apne website me post ke niche Share Button jarur lagane chahiye.

10. Comments :- So friends, Comment bhi ek bahut acha trika hai apne website me traffic lane ka. Aapko dusro ke blog me jana hai or aapko vahan pe kisi bhi post me comment karna hota hai or Jab vo us comment dekhta hai to vo jab aapke comment me click karega to vo aapke website me pahunch jata hai to isliye aapko dusro ke post me comment karna hai ye bahut acha trika hai apne website me traffic lane ka.

Post a Comment

6 Comments

  1. Bhaiya aapne apni post mein 4-5 images to nhi daali bhaiya ... ye to paragraph bn gya

    ReplyDelete
    Replies
    1. Heading dekar aap chote chote pahra likh sakte ho. paragraph means koi heading nahi dena. Is article me to heading di hai. Image ki koi importance nahi hai 1 image lagana acha rahta hai but jayada acha nahi rahta hai.

      Delete
  2. Bhot hi achi post h kia ap mere site ka review kar k bata sakte h
    My link www.wowtips.tk

    ReplyDelete
    Replies
    1. free domain se review nahi kra sakte hai. Premium domain lo phir kar dange

      Delete