Computer
Engineer Kaise Bane
Life me Engineer banana har kisi ki baat nahi hai, lekin namumkin
kuch bhi nahi. Ager aap mehnat or lagan ke sath kuch banna chahte hai, or Usi
disha me jana chahte hai. To koi bhi aapko rok Nahi sakta. So friends, yadi aap
ek computer enginner banna chahte ho to aapko ye article bahut hi helpful hoga.
Is article me batane wala hun ki kaise aap ek computer engineer ban sakte ho.
Computer Engineering ek
Electronic Engineering or Computer science ka Combination hota hai. Jiska focus
computer ke hardware or software part ko design karne me istemal kiya jata hai.
To yadi aapko computer banana hai to easy me aapko computer science or engineering
ki knowledge honi bahut hi jaruri hai.
Computer Do cheejo se banta
hai. Ek Hardware or Dusra Software. To aapko
ek dono mese computer engineering banne ke liye kisi ek me specilisation kar
sakte hai. jisse aap ek computer engineering ban skate hai. So friends, yadi
aapko pta nahi hai ki software engineering or hardware engineering kya hota
hai, To me aapko bta du ki software engineering or hardware engineering me kya
difference hai.
Software
Engineering :- Software
engineering me aapko ek software design karna hota hai with coding. Ek software
engineering ko ek software banana use design karna or use test karna hota hai.
Software engineering me aapko application create karni hoti hai with coding or
unhe test karna hota hai. Aapne application dekhi hogi like as, Paytm, phonepe
etc. ye sabhi application software engineering dwara banai hoti hai.
Hardware
Engineering :- Hardware
engineering me aapko computer ke sabhi tarah ke part like, Mouse, Keyboard,
CPU, Motherboard etc. ke baare me Research karna, Design karna, Develop karna,
or Test karna hota hai. Means aapko in sabhi ke baare me full information honi chahiye
jisse hi aap in sabhi ke baare me research kar sakte ho. Or future me kis tarah
ke keyboard aane chahiye, mouse, motherboard etc. develop hone chahiye in sabhi
ko research karna hota hai.
Computer
Engineering banne ke liye kya Qualification honi chahiye :-
1. 12th Pass honi chahiye with
science subject ke sath or Subject Math hona chahiye.
2. Unke 12th me 60% Marks hone
chahiye usse niche nahi hone chahiye.
3. Or aapko ek Entrance dena
hoga.
Ye sabhi computer engineering
banne ke liye Compulsory hai.
Without these 3 things You Can
Not Become Computer Engineering.
Aap
kahan se Computer Engineering ke Padhai kar sakte ho.
Sabse pahle to aapke +2 me
stream science honi chahiye or subject math hona bahut hi jaruri hai or aapko
+2 me 60% marks hone bahut hi jaruri hai.+2 final exam dete time aapko ek
computer engineering ka entrance dena hoga. or us entrance ko nikalna hoga.
because tabhi aapko ek college me admission milegi or aap us college se
computer engineering ke padhai kar sakte ho. India me kai saare exam hai like
as, IIT (Indian Institute of Technology), AIEEE (All Indian Engineering
Entrance Examination), Ye all india examination exam hai jahan se aap
apni engineering puri kar sakte hai. In exam ho pura karne ke baad aap computer
engineering padhai kar sakte hai. Niche diye gye list me se aap kahin se bhi
computer engineering ka entrance de sakte ho.
Computer
Engineering Entrance Exam List :-
1. All India Engineering
Entrance Exam (AIEEE)
2. BITSAT
3. COMEDK Undergraduate Exam
Test
4. Delhi University Combined
Entrance Examination
5. Goa Common Entrance Test (CET)
6. India Institute Technology (IIT)
7. Orissa Joint Entrance Exam (JEE)
Yahan se aap Computer
Engineering ka entrance de sakte ho or us entrance ko nikalne ke baad aap apni
computer engineering ke padhai puri kar sakte ho.
College
kaise chune.
Entrance nikalne ke baad ab
baat aati hai ki aap kis college me study karoge. To me aapko bta du aapko
college choose karna nahi hota hai. College me aapki Counselling hoti hoti hai.
Aapke jitne marks hote hai unhi marks ki ranking hoti hai or aapke jitne marks
hote hai use ke level me aapko computer engineering ke padhai ke liye college
me bhej diya jata hai. Aapke marks ke hisab se aapko distribute kiya jata hai.
So, Jitne ache aapke marks honge utna acha hoga or aapko college bhi usi
standard ka mil jayega.
Course
Kitne Saal ka hota hai.
Ab baat aati hai ki course
kitne saal ka hota hai. To me aapko bta du ki Computer engineering ka course 4
saal ka hota hai. Aapko regular 4 saal tak study karni hogi or tabhi aap ek
computer engineering ban sakte ho.
I hope friends, Aapko ye
article acha laga hoga. Or aap is article ko thik tarah se samajh bhi gye
honge. Aapko ye article kaise laga hoga aap comment box me comment kare. Or
ager koi preshani aari ho to aap mere puch sakte ho. Comment kar sakte ho.
THANK YOU
0 Comments