Hello, Computer ho ya laptop ho usme
Software kitna important part hai ye sabhi to aap jante hi honge. To Internet
par aapko bahut saare free software mil jayenge. To unme se kuch software
useful hote hai, But kuch software kaam nahi karte hai. So, is article me aapko
ease 5 software ke baare me batane wala hun jinki aapko bahut jayada jarurat
hai,
1.Anvi
Folder Locker :- Yadi aapke
kisi bhi tarah ke document hai or aap kisi or ko unhe nahi batana chahte hai to
aapke liye ye software bahut hi use full hoga. Because ye ek easa free software
hai jisse aap apne kisi bhi folder ko lock kar sakte hai. Or use hide bhi kar
sakte hai. Iska use aap kisi bhi window me kar sakte ho. Ye software paid nahi
hai ye software free me hai. Download karne ke liye yahan pe click kare.Anvi
Folder Locker Free Download.
2. DriverPack Solution :- Dosto hamare pc me kai baar easa ho jata hai ki kai baar wifi work
nahi karta, Bluetooth work nahi karta, Ya phir hamare pc me jo bhi video hai vo
ache se show nahi hoti, graphics drivers missing ho jate hai. Hamare computer
system me jo sound hai kabhi vo chalta nahi hai. Ye jo saari problem hai kahin
na kahin computer ya laptop me driver ke problem se ye saare problem aate hai.
Dosto is software se aapke jo bhi driver missing hai jo chalte nahi hai is
software se aap ek click se sabhi driver ko install kar sakte ho, or aapka pc
ya compuer thik se kaam karne lag jata hai, Sound, Videos, Graphics etc. ki
problem ho to aap is software ka use jarur kare. Ye software bhi bilkul free
hai. Download karne ke liye yahan par click kare. DriverPack Solution Download
3 .Team Viewer :- Dosto ye
software aapke liye bahut hi khaas hone wala hai, Yadi aapke friends ke laptop
me koi problem aa jati hai or usko thik karna nahi aata hai to aap apne hi ghar
se is software ki madad se use apne ghar se hi thik kar sakte ho. So dosto
aapke dost ka laptop ya computer, desktop, aap apne ghar se control kar sakte
ho vo bhi bilkur free. Is software ke madad se aap kisi bhi computer ko apne
computer se connect kar sakte ho. means ek computer dusre computer se connect
kar sakte ho. free of cost. Download karne ke liye yahan pe click kare. Team Viewer Download.
4. Recuva :- Yadi aapke computer system me kuch important data, files, photos,
videos etc. Delete ho gye hai to aap is software ke madad se aap apne data ko
recover kar sakte ho vo bhi bilkul free me ye software koi paid software nahi
hai ye software free hai. Download karne ke liye yahan pe click kare. Recuva software
Download
5. GetInto Pc :- Ye software aapke liye bahut profitable hai, Ye ek easa software
hai jisse aap koi bhi software download kar sakte ho. Chahe vo window hi kaun
na ho is software se aap window bhi download kar sakte ho.
So
friends, ye the kuch software jo aapke pc ke liye bahut hi ache hai, To aapko
ye software kaise lage comment box me jarur bataye or yadi aapko issi prakar ki
or article chahiye to aapke phone/pc me buttom right me ek red color ka ghanta
dikh rha hoga use par jarur click kare jisse aapko hamari article ki
notification milti rahegi.
THANK YOU
0 Comments