Blogging vs YouTube !! Which is Best for earning !!

Hello friends, Welcome to my Website, So friends bahut saare merrko message karke puchte hai ki hame jyada earning blogging karke milte hai ya YouTube karke to dosto maine blogging khud karke dekhi hai, to isliye maine socha iske uper ek article likha jaye to dosto is article ko pura padhiye or janiye ki hame jyada earning kis se receive hoti hai. So friends baat aati hai YouTube ki..


YOUTUBE : YouTube me aapko sabse pahle ek video click karni hoti hai or us video ko edit karna hota hai. Video edit hote hi aap us video ko YouTube me post kar dete ho, Uske baad aapke ager YouTube me 1000 Subscriber hai or aapka 4000 ghante ka watch Time hai. To aapke YouTube ke liye ads milti hai. or Ager aapki us video me (jo aapne youtube me dali hai ) usme 1000, 2000 Views aaye to hi aapke YouTube me 1 dollar milta hai. To in sabhi process ko pass karke aapko dollar milta hai. ab baat aati hai Blogger ki.
BLOGGING : Blogging me aapko ek blog create karna hota hai, Blog kaise create karte hai Click here. Blog create karne ke baad aapko us blog me post likhni hoti hai, jo aapka man kare, jo aap chahe aap post likh sakte hai. like : Blogging, YouTube, Facebook, Story, LifeStyle, etc. ke baare me aap post likh sakte ho. Post likhne ke baad aapko us post ko public me post kar dena hota hai. Uske baad jab aapke blog me din ke 200, 300 pageviews aa jayenge to aap Google AdSense ke liye apply kare. Jab aapka google adsense approve ho jayega to aap apne post me ads lga sakte ho. Ads lagane ke baad aapke 100, 200 PageViews par hi aapka 1 dollar ban jata hai. 

So Friends, Ye dono hi method bahut hi aasan the, yadi aap YouTube or Blogging se paise kamana chahte ho to aap in dono ko  kar sakte ho, In dono me bahut saara paise hai, But sab aapke uper depend karta hai, ki aap kis tarah se is kaam ko karte ho. 
So, Ager aap student ho +2, ya college me padhte ho to aapko YouTube me Video banane ke liye bahut time lagega, Bna sakte hai easa nahi but, ager aapka time manage nahi ho rha hai to me aapko suggest karunga Blogging ke liye, isko aap bahut hi easy tarike se kar sakte ho. vo bhi Bilkul free. Yadi aapko article me samajh nahi aara ho to aap is video ko dekh sakte ho or full detais pa sakte ho.


I Hope aapko ye article acha laga hoga, Aapko ye article kaisa laga, ye hame comment box me jarur bataye. Or haan aapne kon sa choose kiya jo students hai hame jarur bataye. Me bhi ek student hun college me padhta hun. To me Blogging or YouTube dono ko Use karta hun. To hame jarur bataye ki aapko kon sa platform acha laga.
THANKYOU

Post a Comment

0 Comments