Hey Friends, Welcome to my Blog. Blog
v/s Website. Dosto sabse pahle question yeh aata hai ki blog kya hai or website
kya hai. Blog or website me kya difference hai. Kya blog or website ek hi hai. blog create karne se pahle
aapko ye jankari pata honi bahut hi jaruri hai. bahut sare logo ko iske bare me
pata nahi hota hai.
Is prakar aap ek blog create kar sakte hai or aap post me jaker new post me click kare or post likhna start kare. Phir publish ka button right side me hoga, post likhne ke baad vahan pe click kare phir aapka post publish ho jayega.
Blog or Website ek hi cheej hai par kya
har website ek blog hota hai.
Nahi ! Kaun?
Isko me aapko ek example ke sath discuss
karunga. For Example :- “Sabhi Apple Fruit
hota hai. par sabhi fruit apple nahi hota!”
Vaise hi “har Blog Website hoti hai. Par har Website Blog nahi hai!”
Blogger par new Blog kaise banaye.
Khud ki website to ham me se kai log banana
chahte hai but unhe website create karni nahi aati hai. blogger par blog banana
to 2 minute ka kaam hai but uske baad customize karne me thoda waqat lagata hai
vo bhi me aapko bataounga. Is article me pura padhna or samjhna I hope aapko
sab samajh aa jayega. Is article me aapko step by step blogspot create karna
bataounga.
So, Let’s start :-
So, Let’s start :-
Step 1.
Apne Computer/ Laptop ya Mobile me kisi bhi browser me www.blogger.com Open kare. Open karne ke baad
aapke pass ye wala page open hoga. Aapko create
your blog pe click karna hai.
Step 2.
Create
your blog button pe click karne ke
baad aapke pass next page open hoga jo ki is prakar hoga. Yahan pe aapko apne
Gmail id open karni hai. jis Gmail id pe aapko blog create karna hai us gmail
id ko yahan pe likhna hai. ager aapki gmail id nahi bani hai to aap gmail.com
me jaker ek gmail id bna lo. Yahan pe aapko gmail ki need hai. so yahan pe
aapko gmail and password enter kar dena hai.
Gmail sign in ho jane ke baad aapko “Create new blog” button dikhega, is
par click karna hai.
Step 3.
Dosto ab aapke samne ek Popup hoga vhan
aapko aapne website ka title dalna hai. means, aapke blog ka name or unique
blog address dalna hai jis se aapke website tak visitors pahunch sake. For
example. Meri website ka title hai “Technical
Vkay” and mera website ka Address hai “technicalvkay”.
Yadi aap easa address le rhe ho jo kisi or ne le liya hai to aap usko
address ko nahi le sakte aapko or change address dalna padega.
An yahan se aapko ek theme choose karni
hai koi bhi kar leni hai phir blog create ho jane ke baad aap theme ko
customize bhi kar sakte hai or free template bhi use kar sakte hai. Itna ho
jane ke baad Aapko last me ek “create
blog” button dikh rha hoga us pe click kar dena hai.
Ab aapka blog create ho gya hai. bus
itna sa hi kaam tha. Ab yadi aapko apne website dekhni hai to aapne jo piche
site address dala than aap use kisi bhi browser me search bar me likhe. For example. “technicalvkay.blogspot.com” yadi aapko apne website se “.blogspot” hatana hai to aapko ek
domain buy karna padega.
Is prakar aap ek blog create kar sakte hai or aap post me jaker new post me click kare or post likhna start kare. Phir publish ka button right side me hoga, post likhne ke baad vahan pe click kare phir aapka post publish ho jayega.
I Hope dosto, aapko ye article acha laga hoga, aapko ye article kaisa laga comment me bataye or haan ager koi problem aa rhi ho to aap mere contact us Page me jaye or vahan pe aapko mere contact karne ka ek jariya mil jayega otherwise aap comment box me comment bhi kar sakte hai. Aapka mere article padhne ke liye bahut bahut dhanyawad.
THANK YOU
0 Comments